Akbar Allabadhi
1. ham aah bhi karte hai to ho jaate hai badnam
vo qatl bhi qarta hain to charcha nahin hota..
2. ishq nazuk mijaz hai behad
aql ka bojh utha nahin sakta
3. Haya se sir jhuka lena ada se muskura dena
hasino ko bhi kitna sahl hai bijli girane ka
4 . duniya me hu duniyaa ka talabgar nahin hu
bazar se guzara hu kharidar nahin hu ..
5. paida hue vakil to shaitan ne kaha
lo aaj ham bhi sahib-e-aulad ho gaye .
6. Jo kaha maine ki pyar aata hai mujh ko tum par
hans ke kahne laga aur aap ko aata hai kya ..
7. aai hogi kisi ko hijr me maut
mujh ko to neend me bhi nahi aati .
8. akbar dabe nahi kisi sultan ki fauj se
Lekin shahid ho gaye biwi ki nauj se.
9. Bas jaan gaya main teri paichan yahi hai
Tu Dil me to aata hai par samajh me nahi aata
10. Khuda se mang jo kuch mangna hai ai 'akbar'
Yahi wo dar hai ki zillat nahi saval ke baad .
0 Comments
Do not Comment and any spam text