abhi kuch aur Karishme gazal ke dekhte hain
Ahmad Faraz.
abhi kuch karishme gazal ke dekhte hai
faraz ab zara lahja badal ke dekhte hain...
judiyan to muqaddar me hainn fir bhi jaa-e-safar
kuch or dur zara sath chal ke dekhte hai ...
rah-e-wafa me harif-e-khairam koi to ho
so apne aap se aage nikal ke dekhte hai ...
tu samne hai to fr kyu yakeen nahi aata ..
ye baar jo aakho ko mal ke dekhte hai ...
ye kau log hai maujood teri mehfill me
jo lalach se tujh mujh ko jal ke dekhte hai ..
ye qurb kya hai yaki-jan hue na duur rhe
hazar ek hi qalib me dhal ke dekhte hai ..
na tujh ko maat hue hai na mujh ko maat hai
so ab ki dono hi chaalen badal ke dekhte hai ...
ye kaun hai sare-sahil ki dubne waale
samundar ki lahron se uchal ke dekhte hai ...
abhi talak to na kundan hua na raakh
har apni aag me har roz jal ke dekhte hai ..
kuch dino se nahi hai us ki khair khabar
chalo FARAZ ku-e-yar chal ke dekhte hai...
0 Comments
Do not Comment and any spam text