Akbar Allahabadi
Duniya me huun duniya ka talabgar nahi hu
bazar se guzara hu kharidar nahi hu ..
zinda hu magar ziist ki lazzat nahi baaki
har - chand ki huun hosh me hoshiyar nahi huun..
is khaan-e-hasti se guzar jaunga be-laus
saya hu faqat naqsh -ba-divar nahin huun...
afsurda hu ibrat se ki nahin hajat
gham ka mujhe ye zaof hai bimar nahi hu..
vo gul hu khiza ne jise barbad kiya hai
uljhun kisi daman se main vo khaar nahin hu..
ya rab mujhe rakh us but ke sitam se
main us ki inayat ka talabgar nahin huun..
go dava-e-taqva nahin dargaah-e-khuda men
but jis se hon khush aisa gunaghar nahi huun..
afsurdagi o zoaf ki kuchh had nahinn 'akbar'
kafir ke muqabil men bhi din-dar nahin hu ..
If ! You want to contribute with us or want to upload your own writing in this website so you can mail at - abuzar.abuzar.mohd325@gmailcom if your writing are good for this website so we are posting with your name .
0 Comments
Do not Comment and any spam text