har koi dil ki hatheli pe hai sahra rakhe
Ahmad faraz
har koi dil ki hatheli pe hai sehra rakkhe
kis ko sairab kare wo kis ko pyaasa rakhe ...
umar bhar kaun nibhata hai talluq itna
ai meri jaan ke dushman tujhe allah rakhe ....
ham ko acha nahi lagta koi hamnaan tera
koi tujh sa ho to fr naam bhi tujh sa rakhe ...
dil bhi pagal hai ki us shaks se vabasta hai
jo kisi ka hone de na apna rakhe ..
kam nahi tama-e-ibadat bhi hirs-e-zar se
faqr to wo bhi hai jo din na duniya rakhe ..
has na itna bhi faqiro ke akele pan par
jo khuda tujh ko bhi meri tarah tanha rakhe ...
ye qanaat hai itna hai chahat hai faraz
ham to raazi hai wo jis haal me jaisa rakhe ..
0 Comments
Do not Comment and any spam text