Advertisement

Suna hai Log Usse aakh bhar ke dekhte hai

  suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain

Ahmad Faraz 


sunahai log use aankh
bhar ke dekhte haiñ ...

so us ke shahr meñ kuchh
din Thahar ke dekhte haiñ ..
sunā hai rabt hai us
ko ḳharāb-hāloñ se ...

so apne aap ko barbād
kar ke dekhte haiñ ..
sunā hai dard gāhak
hai chashm-e-nāz us kī ..

so ham bhī us galī se
guzar ke dekhte haiñ ...
sunā hai us ko bhī hai
sher o shā.irī se shaġhaf ...

so ham bhī mo.ajize apne
hunar ke dekhte haiñ ...
sunā hai bole to bātoñ
se phuul jhaḌte haiñ ...

ye baat hai to chalo baat
kar ke dekhte haiñ ...
sunā hai raat use
chāñd taktā rahtā hai ...

sitāre bām-e-falak se
utar ke dekhte haiñ ...
sunā hai din ko use
titliyāñ satātī haiñ ...

sunā hai raat ko jugnū
Thahar ke dekhte haiñ ...
sunā hai hashr haiñ us
ġhazāl āñkheñ ...

sunā hai us ko hiran
dasht bhar ke dekhte haiñ ..
sunā hai raat se baḌh
kar haiñ kākuleñ us kī ...

sunā hai shaam ko saa.e
guzar ke dekhte haiñ ...
sunā hai us siyah-
chashmagī qayāmat hai ...

so us ko surma-farosh
aah bhar ke dekhte haiñ ...
sunā hai us ke laboñ
se gulāb jalte haiñ ...

so ham bahār pe ilzām
dhar ke dekhte haiñ...
sunā hai aa.ina timsāl
hai jabīñ us kī ...

jo saada dil haiñ use
ban-sañvar ke dekhte haiñ ...
sunā hai jab se hamā.il
haiñ us gardan meñ ....

mizāj aur laal o
guhar ke dekhte haiñ ..
sunā hai chashm-e-tasavvur
se dasht-e-imkāñ meñ ...

palañg zāviye us
kamar ke dekhte haiñ ....
sunā hai us ke badan
tarāsh aisī hai ...

ki phuul apnī qabā.eñ
katar ke dekhte haiñ ...
vo sarv-qad hai magar
be-gul-e-murād nahīñ ...

ki us shajar pe shagūfe
samar ke dekhte haiñ ...
bas ik nigāh se luTtā
hai qāfila dil kā ...

so rah-ravān-e-tamannā bhī
Dar ke dekhte haiñ ...
sunā hai us ke shabistāñ
se muttasil hai bahisht ...

makīñ udhar ke bhī jalve
idhar ke dekhte haiñ ...
ruke to gardisheñ us
tavāf kartī haiñ ...

chale to us ko zamāne
Thahar ke dekhte haiñ ..
kise nasīb ki
be-pairahan use dekhe

kabhī kabhī dar o dīvār
ghar ke dekhte haiñ
kahāniyāñ sahī sab
mubālġhe sahī

agar vo ḳhvāb hai
tābīr kar ke dekhte haiñ
ab us ke shahr meñ
Thahreñ ki kuuch kar jaa.eñ

'farāz' aao sitāre
safar ke dekhte haiñ

share to your friends 😊

Post a Comment

0 Comments