Usko juda hue bhi Zamana bahaut hua
Ahmad faraz..
Usko juda hue bhi zamana bhaut hua
ab Kya kahen ye kissa purana bhaut hua ..
Dhalti na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaq
ai marg-e-na-gahan tira aana bhaut hua ...
hma khuld se nikal to aaynge par aye khuda..
itne se waqiye ka fasana bhaut hua ...
Ab ham hai or saare zamane ki dushmani
Us se zara sa Rabt badhana bhaut hua ...
Ab kyuun na zindigi ko mohabbat pe waar de
Is Aashiqi me jaan se jana bht hua ....
ab tak to dil ka dil se tarruf na ho saka
maana ki us se milna bhaut hua ..
kya kya na ham kharab hue hain magar ye dil
ai yad-e-yaar tera thikana bhaut hua ....
kahta tha nasehon se mire muuh na aaiyo
phir kya tha ek hu ka bahana bhaut hua ...
lo phir se tire labon pe usi bewafa ka zikr
AHMAD FARAZ tujh se kaha tha bhaut hua ....
thanks for reading .....
0 Comments
Do not Comment and any spam text