Advertisement

ye ek baat samajhne mein raat ho gai hai






ye ek baat samajhne meñ raat ho ga.ī hai
maiñ us se jiit gayā huuñ ki maat ho ga.ī hai
maiñ ab ke saal parindoñ din manā.ūñgā
mirī qarīb ke jañgal se baat ho ga.ī hai
bichhaḌ ke tujh se na ḳhush rah sakūñgā sochā thā
tirī judā.ī vaj.h-e-nashāt ho ga.ī hai
badan meñ ek taraf din tulūa maiñ ne kiyā
badan ke dūsre hisse meñ raat ho ga.ī hai
maiñ jañgaloñ taraf chal paḌā huuñ chhoḌ ke ghar
ye kyā ki ghar udāsī bhī saath ho ga.ī hai
rahegā yaad madīne se vāpsī safar
maiñ nazm likhne lagā thā ki na.at ho ga.ī hai

Thanks for Reading
and also share with your friend 😊

Post a Comment

0 Comments